ALLAH K WALI

ALLAH K WALI
Google Search

Saturday 20 February 2016

Utar Kar Hira Se Soye Qom Aya


Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) ki Umar-e-mubarak jab 40baras ki hui to tabiyat ka Milan tanhai ki taraf ziyada hogaya. Satto or pani le kar MAKKAH se do meel door Ghaar-e-Hira main tashref le jate or kainati umoor or qudrat ki phelai hui nishanio par tafakkur karte, mazahir-e-qudrat ke pas-e-parda kaam karne wale ka khoj lagate. Is hi Ghaar main Aap (Sallaho Alehe Wassalam) Ke jadd-e-amjad Hazrat Abdul Muttalib har saal aik maah ka arsa guzarte the.
Ghaar-e-Hira main aik raat Jibraeel-e-Amin tashreef laye or Aap (Sallaho Alehe Wassalam) Se kaha “Parho” Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ne farmaya “main parha hua nahi hun”.
Jibraeel-e-Amin ne Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ko apne sine se laga kar bhincha or kaha “Parho”. Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ne wohi jawab dohraya. Jibraeel ne dubara bhinch kar sine se lagaya or kaha’ parho. Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ne farmaya main parha hua nahi hun. Jibraeel Amin ne tisri martaba bazuon ke halqe main le kar dabaya or kaha.
Parh apne rab k naam se jis ne banaya.
Admi ko phatki se.
Parh or tera rab bara kareem he.
Jis ne ilm sikhaya qalam se.
Sikhaya admi ko jo na janta tha. (Alq)
Is waqiye k baad Huzur (Aleh Assalato Wassalam) ghar ki janib rawana hue. Jis waqt Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ghar tashreef laye aap ke chehre ka rang phika par chukka tha or tabiyat main zaaf is qadar ghalib tha k Aap (Sallaho Alehe Wassalam) diwar ka sahara le ka chal rahe the. Hazrat Khadija (Radi allaho anho) ne Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ko sahara diya or is thakan ki wajha daryaft ki. Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ne jawab main kaha “mujhe chadar urha do’ Mujhe chadar urha do”. Unho ne Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ko chadar urha di. Jab tabiyat sanbhli to Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ne sara waqiya bayan kiya or khadsha zahir kiya mujhe apni jaan ka dar he. Hazrat Khadija (Radi Allaho Anho) ne Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ko tasali di or kaha’ “ALLAH TA”ALA Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ko ruswa na kare ga’ Aap (Sallaho Alehe Wassalam) sila-e-rehmi karte hain. Dardmando ka bojh uthate hain. Tahi dasto ka bandobast karte hain. Mehman nawazi karte hain”. Hazrat Khadija (Radi Allaho Anho) Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ko apne chacha zaad Warqa Bin Nofil k pas le gain. Huzur (Aleh Assalato Wassalam) ne Ghaar-e-Hira main paish ane wala waqiya bataya to Warqa Bin Nofil ne kaha k ye kalam bila shuba “Namoos” he jo is se pehle Hazrat Mosa (Aleh Salam) par nazil hua tha. Laghwi aitbar se namos khuda k un ahkam ka naam he jo bani noo insani k liye waza kiye jate hain. Warqa Bin Nofil ne Huzur (Aleh Assalato Wassalam) ko mukhatib karte hue kaha k jo kuch tum laye ho is ki bina par log tumhare dushman ban jain ge aye kash main itna zinda rahun k dushman k muqable main tumhari madad kar sakun.
3 saal tak Huzur (Aleh Assalato Wassalam) rato ko Ghaar-e-Hira main jate rahe or wahan subha tak ghor-e-khoz main dobe rehte or daim khuda k bare main sonche rehte the. Kabhi kabhi Jibraeel ki awaz bhi sunai deti jo sirf ye kehte k Ya Mohommed (Sallaho Alehe Wassalam)! Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ALLAH k Rasool hain or main us ka farishta Jibraeel hun. lekin alawa Jibraeel koi or baat na kehte the. Aik raat Jibraeel Ghaar main Huzur (Aleh Assalato Wassalm) k pas aye or  سُوۡرَةُ الِضُّحىٰ ki tilawat ki.
Arabic zuban main Waladdoha ka mafhom ye he qasam us waqt ki jab soraj shuain ufaq se namodar hon or rafta rafta yun phelne lagen k zamen ka gosha gosha soraj se chamak uthe or phir kainat ankho ko kherah kar dene wale soraj k noor se munawar hojaye.
وَٱلَّيۡلِ إِذَا سَجَىٰ” is ayaat ki dosri sogand he. Pehli sogand ki tarha jab tareeki chha jati he or duniya tareeki main dhoob jati he or is jahan par tari hone wala sokoot itna gehra hota he k kahin door se uthne wali halki si awaz bhi bohot qareeb se sunai deti he. Mazkora sorah ki tisri ayat main khuda ne Huzur (Aleh Assalato Wassalam) ko mukhatib karte hue irshad kiya he,
 مَا وَدَّعَكَ رَبُّكَ وَمَا قَلَىٰ” is ayaat main Huzur (Aleh Assalato Wassalam) k zehen main ubharne wali tashweesh ka jawab dete hue kaha gaya he k aap parishan the or ye tasawur  kar rahe the k khuda ne apni shanasai k baad aap ko akela chhor diya he or aap se apni dosti or mohobat wapis le li he. Halan k aisa hargiz nahi or khuda ne aap ko chhora nahi or aap badastoor khuda k mehboob hain.
Huzur (Aleh Assalato Wassalam) par imaan lane wali pehli shakhsiyat in ki zoja Hazrat Khadija (Radi Allaho Anho) thin or is k baad in k chacha k bête Hazrat Ali Ibne Abi Talib musalman hue. Jinhen Huzur (Aleh Assalato Wassalam) ne apni olad ki tarha pala posa tha. Tisre musalman Huzur (Aleh Assalato Wassalam) k ghulam Zaid (Radi Allaho Anho) the. Jinhe Rasool-e-Khuda ne azad kar diya tha lekin wo apne waldain k pas jane par razamand na hue or unho ne kaha k main Huzur (Aleh Assalato Wassalam) ko apne maa baap se ziyada aziz rakhta hun. Hazrat Khadija (Radi Allaho Anho), Hazrat Ali (Radi Allaho Anho) k baad koi or shakhs Huzur (Aleh Assalato Wassalam) par imaan lane par amada na hua. Teen saal ki muddat main yani san 610 se san 613 tak musalmano ki Tadad Khud Huzur (Aleh Assalato Wassalam) k alawa, inhi teen afrad par mushtamil thi. Is saal Hazrat Abubakar (Radi Allaho Anho) bhi musalman hogaye or yun musalmano ki tadad char hogai.




Taleef
Khuwaja Shamsuddin Azeemi

Al Kitab Publications
A.645 Block “H” North Nazimabad Karachi

Kitab
Mohammed ur Rasool ALLAH
(Sallaho Alehe Wassalam)

Thursday 18 February 2016

Batini Naimat



Hazrat Shahab uddin Umar Suharwardi ke aik khadim farmate hain ke main chalees din tak khulot main apne peer o murshid ke sath raha. Pora chilla guzar jane ke baad main ne Hazrat ko buland paharri ki choti par is shaan se jalwa afroz dekha ke Hazrat ke gird jawaherat ke dhair lage hue hain or Hazrat ke hath main aik pemana he. Paharr ke niche bohot se log daman phelaye kharre hain. Hazrat is pemane ko jald jald jawaherat se bhar bhar kar mangne walo ki taraf phenk rahe hain. Jawaherat jab zara kam hote hain to is tezi ke sath barhte hain ke kami ka ehsas hi nahi hota. Jab main aitekaf se bahir aya to Hazrat Sheikh ki khidmat main hazir hua or apne mushahide ke izhar ka iradha kiya. Yaka yak hazrat ne farmaya ke jo kuch tum ne dekha bilkul sahi he. Ye sab kuch is ki barkat he ke mere sine par Hazrat Sheikh Abdul Qadir Jilani (Rehmat u ALLAH Aleh)  ne apna dast e karamat rakha tha or is hath se unhon ne mujhe mere kalam ke badle main ye naimat ata farmai thi.



Kitab
Qasasul Auliya

Allama Nazeer Muhammad Wahidi

Wednesday 11 November 2015

Hazrat Owais Qarni ki Shaan e Istaghna



Khwaja Owais Qarni (Radi ALLAH o Anho) ko Hazrat Umar (Radi ALLAH o Anho) ne paisgham bheja ke agar aap ki ijazat hoto main kufa ke gawarnar ko likhun ke wo aap ka khayal rakhe. Khwaja Shahab (Radi ALLAH o Anho) ne jawab diya ke main khusosiyat ke sath zindagi basar karne ke sakht khilaf hun. mujhe kisi cheez ki ijazat nahi. Mera hath hajat rawa ke hath main he mujhe to bas yaad e Ilahi se gharz he wo main kar raha hun or koi cheez darker nahi. Is ke baad aap ne kufa bhi chorr diya or kisi or ilaqe main nikal gaye jahan aap ko koi talash na kar sake.


Kitab
Qasasul Auliya

Allama Nazeer Muhammad Wahidi

Wednesday 23 September 2015

Hazrat Ali Murtaza (Radi Allaho Ta’ala Anho) Ki Karamat



Qabar Walon Se Sawal-o-Jawab

Hazrat Saeed Bin Masyyab (Radi Allaho Anho) kehte hain k hum log Ameer AlMomenin Hazrat Ali (Radi Allaho Anho) k sath Madina Munawarah k qabrustan Jannat ul Baqi main gaye to aap ne qabron k samne khare ho kar ba awaz-e-muland farmaya k aye qabar walo! Assalam-o-Alaikom Wa Rahmatullah! Kiya tum log apni khabren humain sunao ge ya hum tum logo ko tumhari khabren sunain? Is k jawab main qabron k andar se awaz ai. “Waalaikon Assalam Wa Rahmatulla Wa Barakatah.” Aye Ameer AlMomenin aap hi humain sunaiye k humari mot k baad humare ghar main kiya kiya muamlat hue? Hazrat Ameer AlMomenin ne farmaya k aye qabar walo! Tumhare baad tumhare gharon ki khabar ye he k tumhari biwiyon ne dosre logon se nikah kar liya or tumhare maal-o-dolat ko tumhare warison ne apas main taqseem kar liye or tumhare chote chote bache yateem ho kar darbadar phir rahe hain or tumhare mazbot or onche onche mehlon main tumhare dushman aram or chain k sath zindagi basar kar rahe hain. Is k jawab main qabro se aik murdeh ki ye dardnak awaz ai k aye Ameer AlMomenin! Humari khabar ye he k humare kafan purane ho kar phat chuke hain or jo kuch hum ne dunya main kharch kiya tha’ is ko hum ne yahan paliya he or jo kuch hum dunya main chor aye the is main humain ghata hi ghata uthana para he.
(Hijjat ullah alal alameen jild 2 safha 863)

Tabsarah

Is riwaat se malom hua k ALLAH TABARAK WATA’ALA apne mehbob bando ko ye taqat-o-qudrat ata fermata he k qabar wale in k sawalon k ba aawaz-e-buland is tarha jawab dete hain k dosre hazereen bhi sun lete hain. Ye qudrat-o-taqat aam insanon ko hasil nahi he. Log apni awazen to murdon ko suna sakte hain or murde un ki awazon ko sun bhi lete hain magar qabar k andar se murdon ki awazon ko sun lena ye aam insanon k bas ki baat nahi he balke ye khasan Khuda ka khas hissa or khasa he jis ko qabar walo ka ye iqbaliya bayan he k marne wale dunya main jo maal-o-dolat chor kar mar jate hain’ is main marne walon k liye sara sar ghata hi ghata he or jis maal-o-dolat ko marne se pehle Khuda ki rah main kharch karte hain’ wo un k kaam ane wala he.

Taleef
Allama Molana Abdul Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)

Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor

Kitab
Karamat-e-Sahaba
(Alehim Alrizwan)

Hazrat Ali Murtaza (Radi Allaho Ta’ala Anho)



Khalifa e Charhum janasheen Rasool-o-Zoj Batol Hazrat Ali Bin Abi Talib (Radi Allaho Anho) ki kuniyat “Abul Hasan” or “Abu Torab” he. Aap Huzur-e-Aqdas (Sallaho Alehe Wassalam) ke chacha Abu Talib k farzand arjumand hain. Aam al feel ke tees(30) baras baad jabke Huzur-e-Akram (Sallaho Alehe Wassalam) ki umar shareef tees(30) baras ki thi. 13rajab ko jumma k din Hazrat Ali (Radi Allaho Anho) Khana Kaba k andar paida hue. Aap ki walida majdah ka naam Hazrat Fatima bint-e-Asad (Radi Allaho Anho) he. Aap ne apne bachpan hi main islam qabool karliya tha or Huzur-e-Akram (Sallaho Alehe Wassalam) k zair-e-tarbiyat har waqt aap ki imdad-o-nusrat main lage rehte the. Aap muhajerin awal or ashrah mubasharah main apne baaz khusosi darjat k lehaz se bohot ziyada mumtaz hain. Jang-e-Badar’  jang-e-Ohod’  jang-e-Khandaq wagherah tamam islami laraiyon main apni be panha shujaat ke sath jang farmate rahe or kuffar-e-arab k bare bare namwar bahadur or sorma aap ki muqadas talwar Zulfiqar ki mar se maqtool hue. Amber ul Mokena Hazrat Usman-e-Ghani (Radi Allaho Anho) ki shahadat k baad ansar-o-muhajerin ne aap k dast-e-haq parast par bait kar k aap ko Ameer ul Momenin muntakhib kiya or char(4) baras aath(8) maah no(9) din tak aap masnad-e-khilafat ko sarfaraz farmate rahe. 17 Ramzan 40hijri ko Abd ur Rehman bin maljm muradi kharji mardod ne namaz-e-fajar ko jate hue aap ki muqadas paishani or norani chehre par aisi talwar mari jis se aap shaded tor par zakhmi hogaye or do(2) din zindah reh kar jam-e-Shahadat se sairab hogaye or baaz kitabon main likha he 19 Ramzan jumma ki raat main aap zakhmi hue or 21 Ramzan shab aik Shanmba aap ki shahadat hui. (Wa ALLAH TA’ALA Alam) aap k bare farzand arjumand Hazrat Imam Hasan (Radi Allaho Anho) ne aap ki namaz-e-janaza parhai or aap ko dafan farmadiya.
(Tareekh Alkhulfa wazalta alkhfa waghera)




Taleef
Allama Molana Abdul Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)

Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor

Kitab
Karamat-e-Sahaba 
(Alehim Alrizwan)

Sunday 13 September 2015

Hazrat Usman-e-Ghani (Radi Allaho Anho) Ki Karamat



Zina Kaar Ankhen

Allama Tajuddin Sabki (Rehmat ullah Aleh) ne apni kitab “Tabqat” main tehreer farmaya he k aik shakhs ne rasta chalte hue aik ajnabi orat ko ghor ghor kar ghalat nigahon se dekha. Is k baad ye shakhs Ameer ul Momenin Hazrat Usman-e-Ghani (Radi Allaho Anho) ki khidmat-e-Aqdas main hazir hua. Is shakhs ko dekh kar Hazrat Ameer ul Momenin (Radi Allaho Anho) ne nihayat hi pur jalal lehje main farmaya k tum log aisi halat main mere samne ate ho k tumhari ankhon main zina k asrat hote hain. Shaks mazkor ne (jal bhun kar) kaha k kiya Rasool ALLAH (Sallaho Aleh Wassalm) k baad aap par wahi utarne lagi he? Aap ko kese malom hogaya k meri ankhon main zina k asrat hain?
Ameer ul Momenin ne irshad farmaya k mere upar to wahi nahi nazil hoti he lekin main ne jo kuch kaha he ye bilkul hi qool-e-haq or sachi baat he or Khudawand-e-Aqdas ne mujhe aisi firasat (Nori Basirat) ata farmai he jis se main logo k dilon k halat-o-khayalat ko malom kar liya karta hun.
(Hijjat ullah alal alameen jild 2 safha 862 wazalta alkhufa maqsad 2 safha 227)




Taleef
Allama Molana Abdul Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)

Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor

Kitab
Karamat-e-Sahaba
(Alehim Alrizwan)

Hazrat Usman-e-Ghani (Radi Allaho Ta’ala Anho)



Khalifa e som ameer ul Momenin Hazrat Usman Bin Affan (Radi Allaho Ta’ala Anho) ki kuniyat “Abu Umro” or laqab “Zulnoreen” (do noor wale) he. Aap qureeshi hain or aap ka nasab nama ye he. Usman Bin Affan Abi Alaas Bin Umia Bin Abu shams Bin Abad-e-Manaf. Aap ka khandani shijra “Abde Manaf” par Rasool Allah (Sallaho Alehe Wassalam) k nasab nama se mil jata he. Aap ne aghaz-e-islam hi main islam qabol karliya tha or aap ko aap k chacha or dusre khandani kafiro ne musalman hojane ki wajha se be had sataya. Aap ne pehle habsha ki taraf hijrat farmai. Phir Madina Munawara ki taraf hijrat farmai. Is liye aap “Sahib-ul Hijratain” (do hijraton wale) kehlate hain or chunke Huzur-e-Akram (Sallaho Alehe Wassalam) ki do sahib zadiyan yake baad digare aap k nikah main ain’ is liye aap ka laqab “Zulnoreen” he. Aap jang-e-Badar k alawa dosre tamam islami jehadon main kuffar se jang farmate rahe. Jang-e-Badar k moqe par in ki zoja mohtarma jo Rasool ALLAH (Sallaho Alehe Wassalam) ki sahib zadi thin’ sakht aleel hogain thin’ is liye Huzur-e-Aqdas (Sallaho Alehe Wassalam) ne in ko jang-e-Badar main jane se mana farma diya lekin in ko mujahedin Badar main shumar farma kar maal-e-ghanimat main se mujhahedin k barabar hissa diya or ajar-o-sawab ki bisharat bhi di. Hazrat Ameer ul Momenin Umar Farooq-e-Azam (Radi Allaho Ta’ala Anho) ki shahadat k baad aap khalifa muntakhib hue or barah(12) baras tak takht-e-khilafat ko sarfaraz farmate rahe.
Aap k dor-e-khilafat main islami hokomat ki hodod main bohot ziyada toseeh hui or afriqa waghera bohot se mumalik maftoh ho kar rashidah k zer-e-nigeen hue. Biyasi(82) baras ki umar main misir k baghiyon ne aap k makan ka muhasira kar liya or barah(12) zul haj ya athara(18) zul haj 35hijri jumma k din in baghiyo main se aik bad naseeb ne aap ko raat k waqt is hal main shaheed kardiya k aap Quraan-e-Paak ki tilawat farma rahe the or aap k khon k chand qatrat Quraan Shareef ki ayat Fasayakfikahomullaho par pare. Aap k janazah ki namaz Huzur-e-Aqdas (Sallaho Alehe Wassalam) k phopi zad bhai Hazrat Zubair bin awam (Radi Allaho Anho) ne parhai or aap Madina Munawarah k qabrustan Jannat ul Baqi main madfoon hain.
(Tareekh Alkhulfa wazalta alkhufa waghera)




Taleef
Allama Molana Abdul Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)

Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor


Kitab
Karamat-e-Sahaba
(Alehim Alrizwan)