ALLAH K WALI

ALLAH K WALI
Google Search

Saturday, 20 February 2016

Utar Kar Hira Se Soye Qom Aya


Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) ki Umar-e-mubarak jab 40baras ki hui to tabiyat ka Milan tanhai ki taraf ziyada hogaya. Satto or pani le kar MAKKAH se do meel door Ghaar-e-Hira main tashref le jate or kainati umoor or qudrat ki phelai hui nishanio par tafakkur karte, mazahir-e-qudrat ke pas-e-parda kaam karne wale ka khoj lagate. Is hi Ghaar main Aap (Sallaho Alehe Wassalam) Ke jadd-e-amjad Hazrat Abdul Muttalib har saal aik maah ka arsa guzarte the.
Ghaar-e-Hira main aik raat Jibraeel-e-Amin tashreef laye or Aap (Sallaho Alehe Wassalam) Se kaha “Parho” Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ne farmaya “main parha hua nahi hun”.
Jibraeel-e-Amin ne Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ko apne sine se laga kar bhincha or kaha “Parho”. Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ne wohi jawab dohraya. Jibraeel ne dubara bhinch kar sine se lagaya or kaha’ parho. Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ne farmaya main parha hua nahi hun. Jibraeel Amin ne tisri martaba bazuon ke halqe main le kar dabaya or kaha.
Parh apne rab k naam se jis ne banaya.
Admi ko phatki se.
Parh or tera rab bara kareem he.
Jis ne ilm sikhaya qalam se.
Sikhaya admi ko jo na janta tha. (Alq)
Is waqiye k baad Huzur (Aleh Assalato Wassalam) ghar ki janib rawana hue. Jis waqt Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ghar tashreef laye aap ke chehre ka rang phika par chukka tha or tabiyat main zaaf is qadar ghalib tha k Aap (Sallaho Alehe Wassalam) diwar ka sahara le ka chal rahe the. Hazrat Khadija (Radi allaho anho) ne Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ko sahara diya or is thakan ki wajha daryaft ki. Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ne jawab main kaha “mujhe chadar urha do’ Mujhe chadar urha do”. Unho ne Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ko chadar urha di. Jab tabiyat sanbhli to Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ne sara waqiya bayan kiya or khadsha zahir kiya mujhe apni jaan ka dar he. Hazrat Khadija (Radi Allaho Anho) ne Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ko tasali di or kaha’ “ALLAH TA”ALA Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ko ruswa na kare ga’ Aap (Sallaho Alehe Wassalam) sila-e-rehmi karte hain. Dardmando ka bojh uthate hain. Tahi dasto ka bandobast karte hain. Mehman nawazi karte hain”. Hazrat Khadija (Radi Allaho Anho) Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ko apne chacha zaad Warqa Bin Nofil k pas le gain. Huzur (Aleh Assalato Wassalam) ne Ghaar-e-Hira main paish ane wala waqiya bataya to Warqa Bin Nofil ne kaha k ye kalam bila shuba “Namoos” he jo is se pehle Hazrat Mosa (Aleh Salam) par nazil hua tha. Laghwi aitbar se namos khuda k un ahkam ka naam he jo bani noo insani k liye waza kiye jate hain. Warqa Bin Nofil ne Huzur (Aleh Assalato Wassalam) ko mukhatib karte hue kaha k jo kuch tum laye ho is ki bina par log tumhare dushman ban jain ge aye kash main itna zinda rahun k dushman k muqable main tumhari madad kar sakun.
3 saal tak Huzur (Aleh Assalato Wassalam) rato ko Ghaar-e-Hira main jate rahe or wahan subha tak ghor-e-khoz main dobe rehte or daim khuda k bare main sonche rehte the. Kabhi kabhi Jibraeel ki awaz bhi sunai deti jo sirf ye kehte k Ya Mohommed (Sallaho Alehe Wassalam)! Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ALLAH k Rasool hain or main us ka farishta Jibraeel hun. lekin alawa Jibraeel koi or baat na kehte the. Aik raat Jibraeel Ghaar main Huzur (Aleh Assalato Wassalm) k pas aye or  سُوۡرَةُ الِضُّحىٰ ki tilawat ki.
Arabic zuban main Waladdoha ka mafhom ye he qasam us waqt ki jab soraj shuain ufaq se namodar hon or rafta rafta yun phelne lagen k zamen ka gosha gosha soraj se chamak uthe or phir kainat ankho ko kherah kar dene wale soraj k noor se munawar hojaye.
“وَٱلَّيۡلِ إِذَا سَجَىٰ” is ayaat ki dosri sogand he. Pehli sogand ki tarha jab tareeki chha jati he or duniya tareeki main dhoob jati he or is jahan par tari hone wala sokoot itna gehra hota he k kahin door se uthne wali halki si awaz bhi bohot qareeb se sunai deti he. Mazkora sorah ki tisri ayat main khuda ne Huzur (Aleh Assalato Wassalam) ko mukhatib karte hue irshad kiya he,
 “مَا وَدَّعَكَ رَبُّكَ وَمَا قَلَىٰ” is ayaat main Huzur (Aleh Assalato Wassalam) k zehen main ubharne wali tashweesh ka jawab dete hue kaha gaya he k aap parishan the or ye tasawur  kar rahe the k khuda ne apni shanasai k baad aap ko akela chhor diya he or aap se apni dosti or mohobat wapis le li he. Halan k aisa hargiz nahi or khuda ne aap ko chhora nahi or aap badastoor khuda k mehboob hain.
Huzur (Aleh Assalato Wassalam) par imaan lane wali pehli shakhsiyat in ki zoja Hazrat Khadija (Radi Allaho Anho) thin or is k baad in k chacha k bête Hazrat Ali Ibne Abi Talib musalman hue. Jinhen Huzur (Aleh Assalato Wassalam) ne apni olad ki tarha pala posa tha. Tisre musalman Huzur (Aleh Assalato Wassalam) k ghulam Zaid (Radi Allaho Anho) the. Jinhe Rasool-e-Khuda ne azad kar diya tha lekin wo apne waldain k pas jane par razamand na hue or unho ne kaha k main Huzur (Aleh Assalato Wassalam) ko apne maa baap se ziyada aziz rakhta hun. Hazrat Khadija (Radi Allaho Anho), Hazrat Ali (Radi Allaho Anho) k baad koi or shakhs Huzur (Aleh Assalato Wassalam) par imaan lane par amada na hua. Teen saal ki muddat main yani san 610 se san 613 tak musalmano ki Tadad Khud Huzur (Aleh Assalato Wassalam) k alawa, inhi teen afrad par mushtamil thi. Is saal Hazrat Abubakar (Radi Allaho Anho) bhi musalman hogaye or yun musalmano ki tadad char hogai.




Taleef
Khuwaja Shamsuddin Azeemi

Al Kitab Publications
A.645 Block “H” North Nazimabad Karachi

Kitab
Mohammed ur Rasool ALLAH
(Sallaho Alehe Wassalam)

Thursday, 18 February 2016

Batini Naimat



Hazrat Shahab uddin Umar Suharwardi ke aik khadim farmate hain ke main chalees din tak khulot main apne peer o murshid ke sath raha. Pora chilla guzar jane ke baad main ne Hazrat ko buland paharri ki choti par is shaan se jalwa afroz dekha ke Hazrat ke gird jawaherat ke dhair lage hue hain or Hazrat ke hath main aik pemana he. Paharr ke niche bohot se log daman phelaye kharre hain. Hazrat is pemane ko jald jald jawaherat se bhar bhar kar mangne walo ki taraf phenk rahe hain. Jawaherat jab zara kam hote hain to is tezi ke sath barhte hain ke kami ka ehsas hi nahi hota. Jab main aitekaf se bahir aya to Hazrat Sheikh ki khidmat main hazir hua or apne mushahide ke izhar ka iradha kiya. Yaka yak hazrat ne farmaya ke jo kuch tum ne dekha bilkul sahi he. Ye sab kuch is ki barkat he ke mere sine par Hazrat Sheikh Abdul Qadir Jilani (Rehmat u ALLAH Aleh)  ne apna dast e karamat rakha tha or is hath se unhon ne mujhe mere kalam ke badle main ye naimat ata farmai thi.



Kitab
Qasasul Auliya

Allama Nazeer Muhammad Wahidi

Wednesday, 11 November 2015

Hazrat Owais Qarni ki Shaan e Istaghna



Khwaja Owais Qarni (Radi ALLAH o Anho) ko Hazrat Umar (Radi ALLAH o Anho) ne paisgham bheja ke agar aap ki ijazat hoto main kufa ke gawarnar ko likhun ke wo aap ka khayal rakhe. Khwaja Shahab (Radi ALLAH o Anho) ne jawab diya ke main khusosiyat ke sath zindagi basar karne ke sakht khilaf hun. mujhe kisi cheez ki ijazat nahi. Mera hath hajat rawa ke hath main he mujhe to bas yaad e Ilahi se gharz he wo main kar raha hun or koi cheez darker nahi. Is ke baad aap ne kufa bhi chorr diya or kisi or ilaqe main nikal gaye jahan aap ko koi talash na kar sake.


Kitab
Qasasul Auliya

Allama Nazeer Muhammad Wahidi

Wednesday, 23 September 2015

Hazrat Ali Murtaza (Radi Allaho Ta’ala Anho) Ki Karamat



Qabar Walon Se Sawal-o-Jawab

Hazrat Saeed Bin Masyyab (Radi Allaho Anho) kehte hain k hum log Ameer AlMomenin Hazrat Ali (Radi Allaho Anho) k sath Madina Munawarah k qabrustan Jannat ul Baqi main gaye to aap ne qabron k samne khare ho kar ba awaz-e-muland farmaya k aye qabar walo! Assalam-o-Alaikom Wa Rahmatullah! Kiya tum log apni khabren humain sunao ge ya hum tum logo ko tumhari khabren sunain? Is k jawab main qabron k andar se awaz ai. “Waalaikon Assalam Wa Rahmatulla Wa Barakatah.” Aye Ameer AlMomenin aap hi humain sunaiye k humari mot k baad humare ghar main kiya kiya muamlat hue? Hazrat Ameer AlMomenin ne farmaya k aye qabar walo! Tumhare baad tumhare gharon ki khabar ye he k tumhari biwiyon ne dosre logon se nikah kar liya or tumhare maal-o-dolat ko tumhare warison ne apas main taqseem kar liye or tumhare chote chote bache yateem ho kar darbadar phir rahe hain or tumhare mazbot or onche onche mehlon main tumhare dushman aram or chain k sath zindagi basar kar rahe hain. Is k jawab main qabro se aik murdeh ki ye dardnak awaz ai k aye Ameer AlMomenin! Humari khabar ye he k humare kafan purane ho kar phat chuke hain or jo kuch hum ne dunya main kharch kiya tha’ is ko hum ne yahan paliya he or jo kuch hum dunya main chor aye the is main humain ghata hi ghata uthana para he.
(Hijjat ullah alal alameen jild 2 safha 863)

Tabsarah

Is riwaat se malom hua k ALLAH TABARAK WATA’ALA apne mehbob bando ko ye taqat-o-qudrat ata fermata he k qabar wale in k sawalon k ba aawaz-e-buland is tarha jawab dete hain k dosre hazereen bhi sun lete hain. Ye qudrat-o-taqat aam insanon ko hasil nahi he. Log apni awazen to murdon ko suna sakte hain or murde un ki awazon ko sun bhi lete hain magar qabar k andar se murdon ki awazon ko sun lena ye aam insanon k bas ki baat nahi he balke ye khasan Khuda ka khas hissa or khasa he jis ko qabar walo ka ye iqbaliya bayan he k marne wale dunya main jo maal-o-dolat chor kar mar jate hain’ is main marne walon k liye sara sar ghata hi ghata he or jis maal-o-dolat ko marne se pehle Khuda ki rah main kharch karte hain’ wo un k kaam ane wala he.

Taleef
Allama Molana Abdul Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)

Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor

Kitab
Karamat-e-Sahaba
(Alehim Alrizwan)

Hazrat Ali Murtaza (Radi Allaho Ta’ala Anho)



Khalifa e Charhum janasheen Rasool-o-Zoj Batol Hazrat Ali Bin Abi Talib (Radi Allaho Anho) ki kuniyat “Abul Hasan” or “Abu Torab” he. Aap Huzur-e-Aqdas (Sallaho Alehe Wassalam) ke chacha Abu Talib k farzand arjumand hain. Aam al feel ke tees(30) baras baad jabke Huzur-e-Akram (Sallaho Alehe Wassalam) ki umar shareef tees(30) baras ki thi. 13rajab ko jumma k din Hazrat Ali (Radi Allaho Anho) Khana Kaba k andar paida hue. Aap ki walida majdah ka naam Hazrat Fatima bint-e-Asad (Radi Allaho Anho) he. Aap ne apne bachpan hi main islam qabool karliya tha or Huzur-e-Akram (Sallaho Alehe Wassalam) k zair-e-tarbiyat har waqt aap ki imdad-o-nusrat main lage rehte the. Aap muhajerin awal or ashrah mubasharah main apne baaz khusosi darjat k lehaz se bohot ziyada mumtaz hain. Jang-e-Badar’  jang-e-Ohod’  jang-e-Khandaq wagherah tamam islami laraiyon main apni be panha shujaat ke sath jang farmate rahe or kuffar-e-arab k bare bare namwar bahadur or sorma aap ki muqadas talwar Zulfiqar ki mar se maqtool hue. Amber ul Mokena Hazrat Usman-e-Ghani (Radi Allaho Anho) ki shahadat k baad ansar-o-muhajerin ne aap k dast-e-haq parast par bait kar k aap ko Ameer ul Momenin muntakhib kiya or char(4) baras aath(8) maah no(9) din tak aap masnad-e-khilafat ko sarfaraz farmate rahe. 17 Ramzan 40hijri ko Abd ur Rehman bin maljm muradi kharji mardod ne namaz-e-fajar ko jate hue aap ki muqadas paishani or norani chehre par aisi talwar mari jis se aap shaded tor par zakhmi hogaye or do(2) din zindah reh kar jam-e-Shahadat se sairab hogaye or baaz kitabon main likha he 19 Ramzan jumma ki raat main aap zakhmi hue or 21 Ramzan shab aik Shanmba aap ki shahadat hui. (Wa ALLAH TA’ALA Alam) aap k bare farzand arjumand Hazrat Imam Hasan (Radi Allaho Anho) ne aap ki namaz-e-janaza parhai or aap ko dafan farmadiya.
(Tareekh Alkhulfa wazalta alkhfa waghera)




Taleef
Allama Molana Abdul Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)

Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor

Kitab
Karamat-e-Sahaba 
(Alehim Alrizwan)

Sunday, 13 September 2015

Hazrat Usman-e-Ghani (Radi Allaho Anho) Ki Karamat



Zina Kaar Ankhen

Allama Tajuddin Sabki (Rehmat ullah Aleh) ne apni kitab “Tabqat” main tehreer farmaya he k aik shakhs ne rasta chalte hue aik ajnabi orat ko ghor ghor kar ghalat nigahon se dekha. Is k baad ye shakhs Ameer ul Momenin Hazrat Usman-e-Ghani (Radi Allaho Anho) ki khidmat-e-Aqdas main hazir hua. Is shakhs ko dekh kar Hazrat Ameer ul Momenin (Radi Allaho Anho) ne nihayat hi pur jalal lehje main farmaya k tum log aisi halat main mere samne ate ho k tumhari ankhon main zina k asrat hote hain. Shaks mazkor ne (jal bhun kar) kaha k kiya Rasool ALLAH (Sallaho Aleh Wassalm) k baad aap par wahi utarne lagi he? Aap ko kese malom hogaya k meri ankhon main zina k asrat hain?
Ameer ul Momenin ne irshad farmaya k mere upar to wahi nahi nazil hoti he lekin main ne jo kuch kaha he ye bilkul hi qool-e-haq or sachi baat he or Khudawand-e-Aqdas ne mujhe aisi firasat (Nori Basirat) ata farmai he jis se main logo k dilon k halat-o-khayalat ko malom kar liya karta hun.
(Hijjat ullah alal alameen jild 2 safha 862 wazalta alkhufa maqsad 2 safha 227)




Taleef
Allama Molana Abdul Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)

Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor

Kitab
Karamat-e-Sahaba
(Alehim Alrizwan)

Hazrat Usman-e-Ghani (Radi Allaho Ta’ala Anho)



Khalifa e som ameer ul Momenin Hazrat Usman Bin Affan (Radi Allaho Ta’ala Anho) ki kuniyat “Abu Umro” or laqab “Zulnoreen” (do noor wale) he. Aap qureeshi hain or aap ka nasab nama ye he. Usman Bin Affan Abi Alaas Bin Umia Bin Abu shams Bin Abad-e-Manaf. Aap ka khandani shijra “Abde Manaf” par Rasool Allah (Sallaho Alehe Wassalam) k nasab nama se mil jata he. Aap ne aghaz-e-islam hi main islam qabol karliya tha or aap ko aap k chacha or dusre khandani kafiro ne musalman hojane ki wajha se be had sataya. Aap ne pehle habsha ki taraf hijrat farmai. Phir Madina Munawara ki taraf hijrat farmai. Is liye aap “Sahib-ul Hijratain” (do hijraton wale) kehlate hain or chunke Huzur-e-Akram (Sallaho Alehe Wassalam) ki do sahib zadiyan yake baad digare aap k nikah main ain’ is liye aap ka laqab “Zulnoreen” he. Aap jang-e-Badar k alawa dosre tamam islami jehadon main kuffar se jang farmate rahe. Jang-e-Badar k moqe par in ki zoja mohtarma jo Rasool ALLAH (Sallaho Alehe Wassalam) ki sahib zadi thin’ sakht aleel hogain thin’ is liye Huzur-e-Aqdas (Sallaho Alehe Wassalam) ne in ko jang-e-Badar main jane se mana farma diya lekin in ko mujahedin Badar main shumar farma kar maal-e-ghanimat main se mujhahedin k barabar hissa diya or ajar-o-sawab ki bisharat bhi di. Hazrat Ameer ul Momenin Umar Farooq-e-Azam (Radi Allaho Ta’ala Anho) ki shahadat k baad aap khalifa muntakhib hue or barah(12) baras tak takht-e-khilafat ko sarfaraz farmate rahe.
Aap k dor-e-khilafat main islami hokomat ki hodod main bohot ziyada toseeh hui or afriqa waghera bohot se mumalik maftoh ho kar rashidah k zer-e-nigeen hue. Biyasi(82) baras ki umar main misir k baghiyon ne aap k makan ka muhasira kar liya or barah(12) zul haj ya athara(18) zul haj 35hijri jumma k din in baghiyo main se aik bad naseeb ne aap ko raat k waqt is hal main shaheed kardiya k aap Quraan-e-Paak ki tilawat farma rahe the or aap k khon k chand qatrat Quraan Shareef ki ayat Fasayakfikahomullaho par pare. Aap k janazah ki namaz Huzur-e-Aqdas (Sallaho Alehe Wassalam) k phopi zad bhai Hazrat Zubair bin awam (Radi Allaho Anho) ne parhai or aap Madina Munawarah k qabrustan Jannat ul Baqi main madfoon hain.
(Tareekh Alkhulfa wazalta alkhufa waghera)




Taleef
Allama Molana Abdul Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)

Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor


Kitab
Karamat-e-Sahaba
(Alehim Alrizwan)

Thursday, 10 September 2015

Hazrat Umar Farooq (Radi Allaho Ta’ala Anho) Ki Karamat



Qabar Walon Se Guftugu

Ameer ul Momenin Hazrat Umar Farooq (Radi Allaho Anho) aik martaba aik nojawan saleh ki qabar par tashreef le gaye or farmaya k aye falan! ALLAH TA’ALA ne wada farmaya he (Jo shakhs apne rab k huzor khare hone se dar gaya. Is k liye do jannaten hain) aye nojaean! Bata tera qabar main kiya hal he? Is nojawan saleh ne qabar k andar se aap ka naam le kar pukara or ba awaz-e-buland do martaba jawab diya k mere Rab ne ye do jannate mujhe ata farmadi hain!.
(Hijjat ullah alal alameen jild 2 safha 860’bahawala hakim)




Taleef
Allama Molana Abdul Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)

Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor

Kitab
Karamat-e-Sahaba
(Alehim Alrizwan)

Wednesday, 9 September 2015

Hazrat Umar Farooq (Radi Allaho Ta’ala Anho)



Khalifa-e-Roum janasheen peghambar Hazrat Umar Farooq-e-Azam (Radi Allaho Anho) ki kuniyat “Abu Hafs” or laqab “Farooq-e-Azam” he. Aap ashraf-e-qureesh main apni zati-o-khandani-o-wajahat k lehaz se bohot hi mumtaz hain. Athwen(8) pusht main aap ka khandani shijra Rasool ALLAH (Sallaho Alehe Wassalam) k shijra-e-nasb se milta he. Aap waqiya feel k terah(13) baras baad Makka Mukarama main paida hue or ailan-e-nabuwat k chhate(6) saal 27 baras ki umar main musharaf ba islam hue jab k aik riwayat main aap se pehle kul untalees(39) admi islam qabool kar chuke the. Aap k musalman hojane se musalmano ko be had khushi hui or un ko aik bohot bara sahara mil gaya yahan tak k Huzur Rehmat-e-Alam (Sallaho Alehe Wassalam) ne musalmano ki jamat k sath Khana Kaba ki masjid main ailaniya namaz ada farmai.
Aap tamam islami jangon main mujahidana shan k sath kufar se larte rahe or Paighambar-e-islam (Sallaho Alehe Wassalam) ki tamam islami tehrikat or sulah-o-jang waghera ki tamam mansoba bandiyon main Huzur Sultan-e-Madina (Sallaho Alehe Wassalam) k wazeer-o-musheer ki hesiyat se wafadar-o-rafeeq kaar rahe. Ameer ul Momenin Hazrat Abu Bakar Siddique (Radi Allaho Anho) ne apne baad aap ko khalifa muntakhib farmaya or das(10) baras chhe(6) maah char(4) din aap ne takht-e-khilafat par ronaq afrooz ho kar janasheen-e-Rasool (Sallaho Alehe Wassalam) ki sari zimme dariyon ko ba husn-o-jooh anjam diya. 26zil haj 23hijri char(4) shanba k din namaz-e-fajar main abu lolo firoz majosi kafir ne aap ko shakam main khanjar mara or aap ye zakham kha kar tisre din sharf-e-shahadat se sar faraz hogaye. Waqt-e-wafat aap ki umar sahreef 63baras thi. Hazrat Sohaib (Radi Allaho Anho) ne aap ki namaz-e-janazah parhai or roza Mubaraka k andar Hazrat Siddique Akbar (Radi Allaho Anho) k pehlo-e-anwar main madfoon hoye.
(tareekh alkhalfa wazalta alkhfa waghera)



Taleef
Allama Molana Abdul Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)

Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor

Kitab
Karamat-e-Sahaba
(Alehim Alrizwan)

Tuesday, 8 September 2015

Hazrat Abu Bakar Siddique (Radi Allaho Anho) Ki Karamat



Khane Main Azeem Barkat

Hazrat Abad ur Rehman Bin Abu Bakar (Radi Allaho Anho) ka bayan he k aik martaba Hazrat Abu Bakar (Radi Allaho Anho) bargah-e-Risalat ke teen mehmano ko apne ghar laye or khud Huzur-e-Akram (Sallaho Alehe Wassalam) ki khidmat-e-Aqdas main hazir hogaye or guftugu main masroof rahe yahan tak k raat ka khana aap ne Dastarkhun-e-Nabuwat par kha liya or bohot ziyada raat guzar kane k baad makan par wapis tashreef laye. Un ki biwi ne arz kiya k aap apne ghar par mehmano ko bula kar kahan ghayab rahe? Hazrat Siddique Akbar (Radi Allaho Anho) ne farmaya k kiya ab tak tum ne mehmano ko khana nahi khilaya? Biwi sahiba ne kaha k main ne khana paish kiya magar un lagon ne sahib-e-khana ki ghair mojodgi main khana khane se inkar kardiya. Ye sun kar aap ne apne sahib zade Hazrat Abad ur Rehman (Radi Allaho Anho) par bohot ziyada khafa hue or woh khof-o-dehshat ki wajha se chhup gaye or aap k samne nahi aye phir jab aap ka ghussa faro hogaya to aap mehmano k sath khane k liye beth gaye or sab mehmano ne khob shikam seer hokar khana kha liya. Un mehmano ka biyan he k jab hum khane k bartan main se luqma uthate to jitna khana hath main ata tha’ is se kahin ziyada khana bartan main niche se ubhar ka barh jata tha or jab hum khane se farigh hue to khana bajaye kam hone k bartan main pehle se ziyada hogay. Hazrat Siddique-e-Akbar (Radi Allaho Anho) ne Mutajjub ho kar apni biwi sahiba se farmaya k ye kiya muamla he k bartan main khana pehle se kuch zaid nazar ata he biwi sahiba ne qasam kha kar kaha waqei ye khana to pehle se teen guna barh gaya he phir aap is khane ko utha kar bargah-e-Risalat main le gaye jab subha hui to nagahan mehmano ka aik qafila darbar-e-Risalat main utra jis main barah qabilon k barah sardar the or har sardar k sath bohot se dosre shatar sawar bhi the. un sab logon ne yehi khana khaya or qafila k tamam sardar or tamam mehmano ka giroh is khane ko shikam seer kha kar aasoda hogaya lekin phir bhi is bartan main khana khatam nahi hua.
(Bukhari Shareef jild 1 Sfha 506 mukhtasiran)

Taleef
Allama Molana Abdul Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)



Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor


Kitab
Karamat-e-Sahaba
(Alehim Alrizwan)

Hazrat Abu Bakar Siddique (Radi Allaho Ta’ala Anho)



Khalifa e awwal janasheen beghambar ameer al momenin Hazrat Siddique akbar (Radi Allaho Ta’ala Anho) ka naam-e-naami “Abdullah” “Abu Bakar” aap ki kuniyat or “Siddique-o-ateeq” aap k laqab hain. Aap qureeshi hain or satwen (7) pusht main aap ka shijrah nasb Rasool Allah (Sallaho Alehe Wassalam) k khandani shijrah se miljata he. Aap aam alfeel k dhai baras baad makka mukarama main paida hue. Aap is qadar jama al kamalat or majma al fazail hain k Anmbia (Aleh Salam) k baad tamam agle pichle insano main sab se afzal-o-ala hain. Azad mardon main sab se pehle islam qabol kiya or safar-o-watan k tamam mushahid-o-islami jihado main mujahidana karnamo k sath shamil hue or sulah-o-jang k tamam faislon main Aap shenshah-e-Madina (Sallaho Alehe Wassalam) k wazeer-o-mushir ban k marahil nabuwat k har har mor par aap k rafeeq-o-janisar rahe. Do(2) baras teen(3) maah giyara(11) din masnad khilafat par ronaq afroz reh kar 22 jamadi ul akhra 13hijri mangal ki raat wafat pai. Hazrat Umar (Radi Allaho Anho) ne namaz-e-Janazah parhai or roza munawarah main Huzur Rehmat-e-Alam (Sallaho Alehe Wassalam) k pehlo-e-maqdas main dafan hue.
(Akmal-o-Tareekh Alkhulfa)

Taleef
Allama Molana Abdul Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)

Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor


Kitab
Karamat-e-Sahaba
(Alehim Alrizwan)

Friday, 4 September 2015

Ameer-o-Ghareeb K Sadqe Ka farq



Hazrat Zaid Bin Aslam R.A se marwi he K RASOOL ALLAH (S.A.W.W) ne farmaya K jab koi maaldar apne maal se eek lakh dirham nikal kar sadqa de or koi faqir esa ho K is ke pas do hi dirham hon or wo in main se kkhush ho kar eek dirham ka sadqa karde to ye eek dirham wala faqir is lakh dirham wale maaldar se afzal he.





Az
Qutub-e-Madina Hazrat Imam Abdullah Yafai Yamni

Urdu Tarjuma:
Hazrat Molana Jafar Ali Nagenwi R.A


Intekhab-o-Tehseel
Molana Imdad Allah Anwar
Ustad Jamia Qasim Alulom,Multan
Sabiq Mueen Altehqeeq Hafti Jameel Ahmed Thanwi R.A Jamia Ashrafiya Lahore

Darul Moarif
Inayat Por, Tehseel Jila Por Peerwala, Multan

Kitab
Karamat-e-Auliya

Saturday, 29 August 2015

Mohammed ur Rasool Allah (Sallaho Alehe Wassalam)



Sadiq or Ameen

Makkah main rehne wale do tariqo se apni muashi zaroriyat ko pora karte the. Aik tijarat or dosre maweshiyo khas tor par onton (Camel) ki parwarish k zarye.
Huzur (Aleh Assalato Wassalam) ne tijarat ko zariya muash banana pasand farmaya. Sodagar qais bin zaid apna saman tijarat Huzur (Aleh Assalato Wassalam) ke supurd kar deta tha ta’ke wo use farokht karne ke liye dosre sheher main le jain. Hisab kitab main kabhi koi ikhtilaf nahi hua. Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ashiya-e-tijarat ki farokht ke liye jab bhi safar par rawana hote makkah ke dosre tajir ye khuwahish karte the ke Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) un ka saman-e-tijarat bhi le jain. Inhi tajiron main se aik khaton Hazrat Khatija (Radi ALLAHo Anho) ne Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) ko ye paigham bhijwaya ke agar wo chahe to un ke tijarti qafle ke hamrah safar par rawana hon. Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) ne is paishkash ko apne chacha ke mashware se qabool karliya. Hazrat Khatija (Radi ALLAHo Anho) ke shohar ka inteqal ho chukka tha. Un ki khandani sharafar, izzat o toqeer or aala kirdar ki bina par makkah ke bare bare raees or sardar un se shadi karne ke khuwahan the. Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) ki majmoa sifat zat ne Hazrat Khatija (Radi ALLAHo Anho) ko be had mutasir kiya. Unho ne apni saheli nafeesa bin manba ke zariye shadi ka paigham bheja. Nikah main bani hashim or rusaye makkah sharik hue. Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) ne 500 dirham bator haq meher Hazrat Khatija (Radi ALLAHo Anho) ke ada kiye. Ye riwayat bhi milti hain k haq meher ke tor par 20 ont (Camel) diye gaye.
San 205 Eswi main jabke Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) 35 saal k the makkah main do nagawar waqiyat paish aye. Pehla ye ke khana kaba main aag lag gai or dusra ye ke selab is ke kuch hisso ko baha le gaya. Jis ki bina par kana kaba ko khasa nuqsan pohncha. Qureesh ke 10 qabilon ne ye faisla kiya ke logo se chanda jama kiya jaye or awami chanda ki madad se khana kaba ki maramat ki jaye. Marammat ka kaam jis romi maamar ko sonpa gaya is ne mashwara diya ke Marammat k bajaye khana kaba mukamal tor par dha diya jaye or az sare no taameer kiya jaye. Qureesh k buzurgo ne salah mashwarah k baad khana kaba ko dhane ki manzori de di or romi maamar ne bila tawaquf apna kam shuru kar diya. taameer kaba main tamam qabail ne barh char kar hissa liya lekin jab hijr-e-aswad nasb karne ka marhalla aya to quresh k 10 qabilon k darmiyan shaded ikhtilaf hogaya. Kiyun k har qabila ki ye khuwahish thi k hijr-e-aswad ko khana kaba main lagae ka aizaz sirf use hasil hona chahiye. Is qadiye ka hal Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) ne ye nikala k aik chadar mangwa kar hijr-e-aswad ko is chadar par rakh diya or quresh k sakardah logon ne is chadar ko charon taraf se pakar kar uthaya or khana kaba ki diwar tak le gaye. Khud Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) ne bhi is chadar ka aik kona apne hath main thama or quresh ke dosre logo ki madad se hijr-e-aswad ko khana kaba ki diwar tak pohncha kar nasab kardiya.



Taleef
Khuwaja Shamsuddin Azeemi

Al Kitab Publications
A.645 Block “H” North Nazimabad Karachi

Kitab
Mohammed ur Rasool ALLAH
(Sallaho Alehe Wassalam)

Friday, 28 August 2015

ALLAH Ko Auliya Ka Faqeer Hona Kiyun Pasand He?



Eek riwayat main he k ALLAH TAALA ne Hazrat Moosa A.S ki taraf wahi bheji K A moosa! Mere baaz bande ayse hain agar wo mujh se sari jannat ka sawal kar bethen to main inhain de dun or agar dunya main se kuch mangen to hargiz na dun. Or ye na dena is liyen nahi K wo mere nazdik zalil hain balke is waja se he k main chahta hun K akhrat main in K liyen apni atain zakhira karun or dunya se inhain bachaun jeyse K charwaha apni bakriyon ko bherdiyon se bachata he.





Az
Qutub-e-Madina Hazrat Imam Abdullah Yafai Yamni

Urdu Tarjuma:
Hazrat Molana Jafar Ali Nagenwi R.A


Intekhab-o-Tehseel
Molana Imdad Allah Anwar
Ustad Jamia Qasim Alulom,Multan
Sabiq Mueen Altehqeeq Hafti Jameel Ahmed Thanwi R.A Jamia Ashrafiya Lahore

Darul Moarif
Inayat Por, Tehseel Jila Por Peerwala, Multan

Kitab
Karamat-e-Auliya

Thursday, 27 August 2015

Mohammed ur Rasool Allah (Sallaho Alehe Wassalam)




Bachpan k Barah (12) Saal

Mohammad ur Rasool ALLAH (Aleh Assalat o Wassalam) ne is dunya main jab aaonkh kholi to un k walid Hazrat Abdullah is jahan se rukhsat ho chuke the. Hazrat Abdullah shadi k kuch arse baad aik tijarti qafle k sath sham gaye wapsi main yasrab k muqam par bimar hue or alam-e-jawani main wahin inteqal kar gaye. Un k inteqal k do mah baad Rasool ALLAH (Sallaho Alehe Wassalam) paida hue.
12 Rabiul Awal Ba’roz do shamba ba’mutabiq 20Augest 570 hijri Huzur (Aleh Assalat o Wassalam) ki wiladat ba’sa’adat hui. (9Rabiul awal ba’roz do shamba 22April 571 hijri bhi Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) ki tareekh paidash riwayat ki gai he).
Aap ki walidah Hazrat Amina ne apne baite ki paidaish ki khabar apne susar abdul muttalib ko bheji jo tawaf-e-Kaba main masroof the. Abdul muttalib ghar aye or Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) ko Khana Kaba main le aye or ALLAH TA’ALA se har qisim k fitna-o-shar se mahfooz rakhne ki dua ki. Abdul muttalib ne aap ka naam “Mohammed (Sallaho Alehe Wassalam)” rakha.
Jab Aap (Sallaho Alehe Wassalam) dunya main aye to sar zameen-e-arab sar sabz-o-shadab hogai. Darkht pholo se jhuk gaye. Makkah main khushhali agai. Isi sal as-habe alfeel ka waqeya paish aya tha. Jab abrah or is ki 60 hazar foj or 13 hathi sanrezon ki barish se khaye hue bhuse main tabdeel hogaye.
Wiladat k waqt zalzala aya or kusra shehenshah e faris k mehel k chodah kangry gir pare. Atish kadah faris main sadyon roshan aag bujh gai.
Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) ne teen din tak apni maa ka doodh piya phir sobiya ka doodh piya. 2 saal pehle sobiya ne AHazrat (Sallaho Alehe Wassalam) k chacha hamza (Radi ALLAHo Anho) ko bhi doodh pilaya tha. Ye wok hush qismat khatoon thin jinho ne Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) ki paidaish ki khabar abu lahab ko sunai to abu lahab ne inhe azad kar diya.
Arbo main riwaj tha k parwarish k liye kam sin bachao ko dehaat main bhej dete the. Dehaton main rehne wali arab orten saal k mukhtalif hisso main Makkah atin thin or shir khuwar bacho ko parwarish karne k liye sehra main le jatin thin. Qabila bano saad bin bakar ki orto ne dosre bacho ko ghod liya or Hazrat Halima ne Mohammed (Sallaho Alehe Wassalam) ko sine se lagaya.
Ibteda k 4 saal Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ne jo bano saad main dai Halima ki raza’at k zer-e-saya guzare. raza’at se farigh ho kar Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) apni walidhah k pas agaye.
Jab Aap (Sallaho Alehe Wassalam) 6 saal k hoye to Hazrat Amina apne khawind k mazar ki ziyarat k liye yasrab tashreef le gain. Is safar main um-e-aiman bhi hamra thin. Hazrat Amina aik mah tak yasrab main muqeem rahin . wahan roz ba’roz un ki sehat kharab hogai or Makkah wapis ate waqt safar main abua k muqam par un ka inteqal hogaa. Um-e-Aiman Mohommed ur Rasool ALLAH (Sallaho Alehe Wassalam) ko Makkah mukarama lain or un k dada abdul muttalib k supurd kardiya. 2 saal bhi na guzre the k dada abdul muttalib ka inteqal hogaya. Dada marte waqt apne 8 saala yateem pote ko apne bête abu talib k hawale kar gaye or mutwast al hal abu talib ki sarparasti main Mohmmed (Sallaho Alehe Wassalam) ki zindagi ka naya dor shuru hua.
8 saal ki umar main jabke bache dunya ki onch nich se be khabar khel kod main magan hote hain Mohammed (Sallaho Alehe Wassalam) din bhar bakriyon ki rakhwali karte, jangal main inhen charane lejate, dopheher k khane main jharberi k beer kha kar pait bharte, onton (camel) ki muhar pakarte or ghar k chote bare kam karte the. Mohommed (Sallaho Alehe Wassalam) ne apne chahca ka hath batane k liye or chacha k kandhon se apna bojh hatane k liye mazkora bala marofiyaten talash kar len. Agarche abu talib ne bhatije or apne bachon k darmiyan farq na kiya or dono miyan biwi ne haqiqi bête ki tarha un ki parwarish ki lekin maa ki mohobat or baap ki shafqat ka badal to nahi hota.
Huzur (Aleh Assalato Wassalam) 8 saal ki umar main har subha seher se bahir nikal jate or sham gaye tak akele sehra main rehte the. Aksar oqat lamehdod aasman or la matnahi ufaq par nazren jamaye rakhte or soraj dhalne se pehle maweshiyo ko le kar wapis abadi main lot ate. Wo bacha jis ka baap na ho, jis ki maa na ho or jo khelne kodne ki umar main mehnat mushaqar kare wo zindagi main khud kafeel (Self Made) hota he.
Peghambar e islam (Sallaho Alehe Wassalam) k chacha abu talib aik tajir the. Wo Mohammed (Sallaho Alehe Wassalam) ko 12 saal ki umar main sham le gaye. Sham k sheher “basrah” k nazdeek un ka karwa thehra. Jis jagah karwa ne barao kiya wahan aik som’a main bahira nami rahib rehta tha. Saryani zuban main bahira ke mane buzurg or danishwar k hain. Bahira ne is din tak apne som’a se bahir qadam nahi nikala tha or na kisi karwan k musafir se guftugu ki hi. Arbon ka ye tijarti qafla jab som’a k qareb farokash hua to bahira ne dekha k jis darakht k niche qafle wale there hain us ki tehniyan khud bakhud jhuk gain hain. Is ne dekha k 12 sala larka qafle main shamil he. Jis par badal ka tukra saya kiye hue he. Bahira ne Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ka bahesiyat akhri nabi pehchan kar aap k sar parast abu talib ko nasihat ki k apne bhatije ki pori pori nigrani Karen. Abu talib ne kaha k aap ye kese keh sakte hain k ye wahi bacha he jis ka tazkira ilhami kitabon main he. Bahira ne jawab diya tum log jab ghati k is janib namodar hue to koi bhi darakht ya pathar aisa nahi tha jo sajdah k liye jhuk na gaya ho.

Taleef
Khuwaja Shamsuddin Azeemi

Al Kitab Publications
A.645 Block “H” North Nazimabad Karachi

Kitab
Mohammed ur Rasool ALLAH
(Sallaho Alehe Wassalam)

Monday, 24 August 2015

Admi or Badshah Kon Hain?




Abdullah bin Mubarak R.A

Abdullah bin Mubarak R.A se kisi ne pocha k admi kon hain? Farmaya Ulma. Kaha badshah kon hain hain? Farmaya zahid. Kaha kamine or naktame kon hain? Farmaya wo jo apne deen ke zarye se khatain (deen farosh karain ya taqadus jatain)








Az
Qutub-e-Madina Hazrat Imam Abdullah Yafai Yamni

Urdu Tarjuma:
Hazrat Molana Jafar Ali Nagenwi R.A


Intekhab-o-Tehseel
Molana Imdad Allah Anwar
Ustad Jamia Qasim Alulom,Multan
Sabiq Mueen Altehqeeq Hafti Jameel Ahmed Thanwi R.A Jamia Ashrafiya Lahore

Darul Moarif
Inayat Por, Tehseel Jila Por Peerwala, Multan

Kitab
Karamat-e-Auliya

Tuesday, 5 May 2015

Hazrat Zulnon Misri (Rehmat u ALLAH Aleh) Ki Kramat



Hazrat Zulnon Misri (Rehmat u ALLAH Aleh) eek martaba kashti par sawar kahin ja rahe the. Kashti k musafiron ko Hazrat se ta’aruf na tha. Is kashti min aik sodagar bhi tha. Itefaqan is ka aik moti gum hogaya is ne ghalat fehmi se Hazrat Zulnon Misri (Rehmat u ALLAH Aleh) pe ilzam lagadiya k moti unhon ne liya he. Hazrat ne farmaya k Hasha wukla moti main ne nahi liya. Wo sodagar kehne laga k moti aap hi ne liya he or gustakhi se paish ane laga Hazrat Zulnon Misri (Rehmat u ALLAH Aleh) ne us waqt aasman ki taraf munh kar k arz kiya. Ilahi! Tu janta he k main is ilzam se bari hun. ye kehna hi tha k hazaron machliyan darya se apne apne munh main aik aik moti le kar nikal ain. Aap ne in main se aik moti le kar is sodagar ko diya. Kashti k logon ne Hazrat ki jab ye shaan dekhi to sab aap k qadmon par gir parre or muafi chahne lage. “NOON” machli ko kehte hain. Aap ki isi karamat ki wajha se aap ka naam Zulnon mashhor hogaya.


Mirat ul israr
286

Kitab
Qasasul Auliya

Allama Nazeer Muhammad Wahidi

Friday, 23 September 2011

ALLAH Ko Auliya Ka Faqeer Hona Kiyun Pasand He?


Eek riwayat main he k ALLAH TAALA ne Hazrat Moosa A.S ki taraf wahi bheji K A moosa! Mere baaz bande ayse hain agar wo mujh se sari jannat ka sawal kar bethen to main inhain de dun or agar dunya main se kuch mangen to hargiz na dun. Or ye na dena is liyen nahi K wo mere nazdik zalil hain balke is waja se he k main chahta hun K akhrat main in K liyen apni atain zakhira karun or dunya se inhain bachaun jeyse K charwaha apni bakriyon ko bherdiyon se bachata he.



Az
Qutub-e-Madina Hazrat Imam Abdullah Yafai Yamni

Urdu Tarjuma:
Hazrat Molana Jafar Ali Nagenwi R.A


Intekhab-o-Tehseel
Molana Imdad Allah Anwar
Ustad Jamia Qasim Alulom,Multan
Sabiq Mueen Altehqeeq Hafti Jameel Ahmed Thanwi R.A Jamia Ashrafiya Lahore

Darul Moarif
Inayat Por, Tehseel Jila Por Peerwala, Multan

Kitab
Karamat-e-Auliya

Page No
40