ALLAH K WALI

ALLAH K WALI
Google Search

Tuesday 6 September 2011

Eek Wali Ka Ajeeb Qissa


Hazrat Ibrahim Khuas R.A
 
Eek buzurg (Hazrat Ibrahim Khuas R.A ) farmate hain main eek dafa hajj ko chala raste main chandni raat main so gaya or yaka yak eek zaif shakhs ki awaz suni jo keh raha tha a abul Ishaaq main kal se tera muntazir hun main ne qareeb ja kar dekha to eek mard laghar andam bilkul dubla patla moot k qareeb he is ke gird pholon ka ambaar he baaz phool main pehchanta hun or baaz nahi pehchanta. Main ne pocha tum kahan rehte ho is ne sheher ka naam liya or kaha main dolat-o-izzat main tha. Mere dil ne tanhai ki khuahish ki. Main heran-o-parishan jangal-o-bayaban main khara hua or ab main moot k qareeb hun main ne khuda se dua ki thi k koi ALLAH ka dost mere pas muqarar hojaye main umeed karta hun k wo tum hi ho. Phir main ne pocha kiya tumhare maa baap hain? Kaha han hain or behen bhai bhi hain. Main ne pocha kiya tum un se milne ka shoq rakhte ho ya tum ko wo log yaad ate hain kaha nahi! Magar aaj yaad arahe hain main ne chaha k un ki bo songhun’ jangli darindon or wehshiyon ne mere haal-e-zar par rehem khaya or mujhe is baghiche main utha lae. Ibhrahim farmate hain k eek bara saanp munh main phool khushbo dar liye hue samne ata nazar aya. Is saanp ne mujh se kaha apne shar ko is ke pas se dafa kar ALLAH TALA apne doston or farmabardaron ke haal se mutala he.
Ibhrahim farmate hain main be hosh ho gaya or kuch khabar na rahi. Jab sambhla to dekhta hun k jawan ka taair rooh parwaz kar chukka tha phir main be khudi ke alam main raha or so gaya jab jaga to apne ko rah-e-rast par paya. Or arkan-e-hajj ki adayegi ke baad main is jawan ke watan main gaya eek orat mili jis ke hath main pani ki chhagal thi or is jawan ke bohot mushaba thi. Jab mujhe dekha to kaha a Abul Ishaaq tu ne jawan ko keysa dekha main teen din se teri muntazir hun main ne sara qissa yahan tak zikar kiya k jo is jawan ka qool (main ne chaha k un ki bu sunghun) tha is orat ne chinkh mari or kaha haye bo pohonch gai or is tarhan se is orat ki jaan bhi nikal gai phir chand hum umar ortain niklin jo umdah poshak pehne or nafees patke bandhee hue thin unhon ne is orat ki tajheez-o-tadfeen ki.





Az
Qutub-e-Madina Hazrat Imam Abdullah Yafai Yamni

Urdu Tarjuma:
Hazrat Molana Jafar Ali Nagenwi R.A


Intekhab-o-Tehseel
Molana Imdad Allah Anwar
Ustad Jamia Qasim Alulom,Multan
Sabiq Mueen Altehqeeq Hafti Jameel Ahmed Thanwi R.A Jamia Ashrafiya Lahore

Darul Moarif
Inayat Por, Tehseel Jila Por Peerwala, Multan

Kitab
Karamat-e-Auliya

Page No
107

1 comment:

  1. *🌹SHAAN E AULIYA ALLAH🌹*

    Allah k kuch bande aise hai k na wo Nabi hai na shaheed Lekin Qayamat k din Allah ki taraf se unko Milne Wale rutbe par ambiya wa Shohuda b rashk karange.

    *📚Sunan Abu Daoud hadees no. 3527)*

    📢 *Scan Page👇🏻👇🏻👇🏻 Click here*

    http://www.sunnihanfi.tk/2016/10/rasulullah-salallaho-alehewslm-ney.html?m=1

    ReplyDelete

Please Share this blog to everyone!
Hadees ka mafhom he k Achi baat ko dosro tak pohnchana bhi Sadqa e Jariya he....!