ALLAH K WALI

ALLAH K WALI
Google Search

Saturday 3 September 2011

Zeher Qatil Pine Wale Buzrug Ki Karamat


Eek kafir Badshah musalmano k sheheron par qabiz hogaya or in ka khoon kiya or maal luta or baaz fuqra or mashigh ke qatal ka b iradha kiya sheikh ne is se mil ke is kaam se manah kiya. Un se Badshah ne kaha k agar tum sache ho to mujhe alamat dikhao? Chunacha sheikh ne unt (Camel) ki mengni ki taraf isharah kiya wo foran jawahir ban kar chamakne lag gaye. Or khali kuzon ki taraf isharah kiya jo zameen par rakhe hue the wo hawa par mualliq ho gaye or pani se bhar gaye un k munh zameen ki taraf ondhe hue the or un main se eek qatra b nahi tapakta tha.
Badshah dekh kar ghabraya iske eek hum nasheen ne kaha ise bari baat mat jano ye jadu he.
Badshah ne kaha kuch or dikhao?
Sheikh ne aag jalane ka hukum diya. Jab aag khoob dehek gai is waqat fuqra se kaha k majlis-e-saman garam karo. Jab in par wajd tari hogaya to sheikh in k foqara ke sath aag main ghus gaye or aag bohot teez thi is waqt sheikh ne Badshah ke larke ko b sath liya or aag main charon taraf ghumaya or ise le kar chal diye or ghayab ho gaye or maloom na hua k kahan gaye Badshah mojod tha dekh kar apne bache k ghayab hone par bohot ghabraya thori deer ke baad dono amojod hue or Badshah ke bete ke eek hath main seeb (Apple) or dosre main anar (Pomegranate) tha. Badshah ne pocha tu kahan tha. Kaha bagh main tha wahan se main ne ye do adad tor liye or nikal aya Badshah mutheer hua us ke badmash sathiyon ne kaha k ye bhi batil tamasha he.
Eek piyala zeher-e-qatil se labreez jis ka eek qatra bhi foran halak karde nikala’ sheikh ne fuqra se kaha k majlis-e-sama garam karo jab is par hal tari hua to wo piyala utha kar sab ka sab pi gaye. In par jo libas tha wo para para hogaya or dusra libas pehnaya gaya wo bhi phat gaya phir or badla gaya wo bhi phat gaya is tarhan kai bar badla gaya phir pasina aya or kapde sabit rahe. Badshah ne in ki izzat-o-hurmat ki or is qatal-o-fasad ke irade se baaz raha. Shayad musalman bhi ho gaya ho – wallah-o-alam.



Az
Qutub-e-Madina Hazrat Imam Abdullah Yafai Yamni

Urdu Tarjuma:
Hazrat Molana Jafar Ali Nagenwi R.A


Intekhab-o-Tehseel
Molana Imdad Allah Anwar
Ustad Jamia Qasim Alulom,Multan
Sabiq Mueen Altehqeeq Hafti Jameel Ahmed Thanwi R.A Jamia Ashrafiya Lahore

Darul Moarif
Inayat Por, Tehseel Jila Por Peerwala, Multan

Kitab
Karamat-e-Auliya

Page No
302

No comments:

Post a Comment

Please Share this blog to everyone!
Hadees ka mafhom he k Achi baat ko dosro tak pohnchana bhi Sadqa e Jariya he....!