Hazrat Ali Murtaza (Radi Allaho Ta’ala Anho)
|
Khalifa e Charhum janasheen
Rasool-o-Zoj Batol Hazrat Ali Bin Abi Talib (Radi Allaho Anho) ki kuniyat “Abul
Hasan” or “Abu Torab” he. Aap Huzur-e-Aqdas (Sallaho Alehe Wassalam) ke chacha
Abu Talib k farzand arjumand hain. Aam al feel ke tees(30) baras baad jabke
Huzur-e-Akram (Sallaho Alehe Wassalam) ki umar shareef tees(30) baras ki thi.
13rajab ko jumma k din Hazrat Ali (Radi Allaho Anho) Khana Kaba k andar paida
hue. Aap ki walida majdah ka naam Hazrat Fatima bint-e-Asad (Radi Allaho Anho)
he. Aap ne apne bachpan hi main islam qabool karliya tha or Huzur-e-Akram
(Sallaho Alehe Wassalam) k zair-e-tarbiyat har waqt aap ki imdad-o-nusrat main
lage rehte the. Aap muhajerin awal or ashrah mubasharah main apne baaz khusosi
darjat k lehaz se bohot ziyada mumtaz hain. Jang-e-Badar’ jang-e-Ohod’
jang-e-Khandaq wagherah tamam islami laraiyon main apni be panha shujaat
ke sath jang farmate rahe or kuffar-e-arab k bare bare namwar bahadur or sorma
aap ki muqadas talwar Zulfiqar ki mar se maqtool hue. Amber ul Mokena Hazrat
Usman-e-Ghani (Radi Allaho Anho) ki shahadat k baad ansar-o-muhajerin ne aap k
dast-e-haq parast par bait kar k aap ko Ameer ul Momenin muntakhib kiya or
char(4) baras aath(8) maah no(9) din tak aap masnad-e-khilafat ko sarfaraz
farmate rahe. 17 Ramzan 40hijri ko Abd ur Rehman bin maljm muradi kharji mardod
ne namaz-e-fajar ko jate hue aap ki muqadas paishani or norani chehre par aisi
talwar mari jis se aap shaded tor par zakhmi hogaye or do(2) din zindah reh kar
jam-e-Shahadat se sairab hogaye or baaz kitabon main likha he 19 Ramzan jumma
ki raat main aap zakhmi hue or 21 Ramzan shab aik Shanmba aap ki shahadat hui.
(Wa ALLAH TA’ALA Alam) aap k bare farzand arjumand Hazrat Imam Hasan (Radi
Allaho Anho) ne aap ki namaz-e-janaza parhai or aap ko dafan farmadiya.
(Tareekh Alkhulfa wazalta alkhfa waghera)
Karamat
|
1.
Qabar Walon Se
Sawal-o-Jawab
Hazrat Saeed Bin Masyyab
(Radi Allaho Anho) kehte hain k hum log Ameer AlMomenin Hazrat Ali (Radi Allaho
Anho) k sath Madina Munawarah k qabrustan Jannat ul Baqi main gaye to aap ne
qabron k samne khare ho kar ba awaz-e-muland farmaya k aye qabar walo! Assalam-o-Alaikom Wa
Rahmatullah! Kiya tum log apni khabren humain sunao ge ya hum tum logo ko
tumhari khabren sunain? Is k jawab main qabron k andar se awaz ai. “Waalaikon
Assalam Wa Rahmatulla Wa Barakatah.” Aye Ameer AlMomenin aap hi
humain sunaiye k humari mot k baad humare ghar main kiya kiya muamlat hue?
Hazrat Ameer AlMomenin ne farmaya k aye qabar walo! Tumhare baad tumhare gharon
ki khabar ye he k tumhari biwiyon ne dosre logon se nikah kar liya or tumhare
maal-o-dolat ko tumhare warison ne apas main taqseem kar liye or tumhare chote
chote bache yateem ho kar darbadar phir rahe hain or tumhare mazbot or onche
onche mehlon main tumhare dushman aram or chain k sath zindagi basar kar rahe
hain. Is k jawab main qabro se aik murdeh ki ye dardnak awaz ai k aye Ameer
AlMomenin! Humari khabar ye he k humare kafan purane ho kar phat chuke hain or
jo kuch hum ne dunya main kharch kiya tha’ is ko hum ne yahan paliya he or jo
kuch hum dunya main chor aye the is main humain ghata hi ghata uthana para he.
(Hijjat ullah alal alameen jild 2 safha 863)
Tabsarah
Is riwaat se malom hua k
ALLAH TABARAK WATA’ALA apne mehbob bando ko ye taqat-o-qudrat ata fermata he k
qabar wale in k sawalon k ba aawaz-e-buland is tarha jawab dete hain k dosre
hazereen bhi sun lete hain. Ye qudrat-o-taqat aam insanon ko hasil nahi he. Log
apni awazen to murdon ko suna sakte hain or murde un ki awazon ko sun bhi lete
hain magar qabar k andar se murdon ki awazon ko sun lena ye aam insanon k bas
ki baat nahi he balke ye khasan Khuda ka khas hissa or khasa he jis ko qabar
walo ka ye iqbaliya bayan he k marne wale dunya main jo maal-o-dolat chor kar mar
jate hain’ is main marne walon k liye sara sar ghata hi ghata he or jis
maal-o-dolat ko marne se pehle Khuda ki rah main kharch karte hain’ wo un k
kaam ane wala he.
Taleef
Allama Molana Abdul
Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)
Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor
Kitab
Karamat-e-Sahaba
(Alehim Alrizwan)
Nice post
ReplyDeleteহযরত আলী