ALLAH K WALI

ALLAH K WALI
Google Search

Monday 29 August 2011

Duba Hua Bacha Zindah Nikal Aya


Hazrat Sari Saqti R.A

Hazrat Sari Saqti R.A k eek Mureed farmate hain k Hazrat Sari Saqti R.A ke yahan ek orat in ki shagird rehti thi or is orat ka eek larka mualam ke pass parhta tha eek roz mualim ne larke ko panchakki par bhej diya wo larka pani main doob gaya mualim ne Hazrat Sari Saqti R.A ko itela di. Hazrat Sari Saqti R.A apne ashab sameet is ki walidah ke pass aye or sabar ke mutaliq bohot taweel bayan kiya phir raza ka bayan farmaya. Us (orat) ne sun kar arz kiya k Hazrat aap ka is bayan se kiya maqsad he farmaya k tumhara beta pani main doob gaya he. Kaha mera beta? Farmaya tera beta. Kaha hargiz nahi! Haq Taala ne eysa hargiz nahi kiya. Hazrat Sari Saqti R.A ne phir farmaya k tumhara beta doob gaya he is main mujhe koi shak nahi. Kaha agar fil waqt ye qissa sahi he to mujhe is moqe par le chalo. Al gharz sab neher par gaye or is ko bataya k wo gul khobi-o-saro mehbobi yahan pas-e-murdah hua he. Us ne is (bete) ko pokara! “beta Muhammad” us ne fil futor jawab diya “amma hazir hun” ye awaz sun kar wo pani main utri or is ka dast simen pakar kar nikal liya or lekar apne ghar chali gai. Is waqiye ajeba par Hazrat Sari Saqti R.A ne Hazrat Junaid R.A ki taraf anan altyfat munsaraf farmai or arz kiya k ye kiya qissa he farmaya ye orat ahkam alaya ke zewar se apne ko arasta-o-perasta rakhti he is ki barkat se Allah Taala ka muamla is k sath ye he k is k mutaliq jab koi waqeya hota he ise pehle ityla di jati he or is garq ke waqeye se ise agahi nahi di gai is liyen is ne inkar kiya or nehayat pukhtagi se kaha Allah Taala ne eysa har giz nahi kiya.



Az
Qutub-e-Madina Hazrat Imam Abdullah Yafai Yamni

Urdu Tarjuma:
Hazrat Molana Jafar Ali Nagenwi R.A


Intekhab-o-Tehseel
Molana Imdad Allah Anwar
Ustad Jamia Qasim Alulom,Multan
Sabiq Mueen Altehqeeq Hafti Jameel Ahmed Thanwi R.A Jamia Ashrafiya Lahore

Darul Moarif
Inayat Por, Tehseel Jila Por Peerwala, Multan

Kitab
Karamat-e-Auliya

No comments:

Post a Comment

Please Share this blog to everyone!
Hadees ka mafhom he k Achi baat ko dosro tak pohnchana bhi Sadqa e Jariya he....!