ALLAH K WALI

ALLAH K WALI
Google Search

Sunday 28 August 2011

Nijaat Ki Fikar


Hazrat Sadoon Majnon R.A

Hazrat Malik Bin Dinar R.A farmate hain k main ek din basra ke jangal gaya or dekha k ek muqam par sadoon majnon R.A bethe hue the. Main pucha aap ka kiya hal he? Farmaya aye malik us shakhs ka kiya haal daryaft karte ho jis ka subah-o-sham bare bhari safar ka irada ho or kuch saman or tosha is ke pas na ho or tamam bandon ke hakim-o-adil or rab ke han is ki peshi ho’ ye keh kar bohot roye. Main ne pocha kiyun rote ho? Farmaya Allah ki Qasam main dunya ki hirs ya moot or masaib ke dar se nahi rota balke is wajah se k meri umar ka ek din eysa guzar gaya k is main mujh se acha amal nahi hua or neez mujhe zadrah ki qilat or rah ka dor daraz hona or sakht ghati ka pesh anar la raha he mujhe kuch maloom nahi k mera thikana janat he ya dozakh.
Malik Bin Dinar R.A farmate hain k main ne un se ye hikmat ameez kalam sun kar kaha k log to tumhain majnon kehte hain magar tum to bade aqil ho. Farmaya tum bhi logon k dhoke main agaye logon ne mujhe majnon samajh rakha he halanke mujh main junon jeysi koi baat nahi. Albata mere mola ki mohobat mere dil or mere gosht-o-post-o-rag-o-resha-o-hadiyon or khon main rach bas gayi he is mohobat ki wajah se main heyran or farifta hun. Main ne arz kiya aye sadon R.A aap logon main kiyun nahi bethte or in se kiyun nahi milte julte? Ye sun kar sadon R.A ne do sher prhhe. Jin ka mazmon ye he.
“aziz!logon se bilkul alag raha kar or haq taala ko apna masahib or sathi bana
Logon ko jis tarhan chahe azma kar dekh le wo har hal main tujhe bichho hi nazar ain ge.






Az
Qutub-e-Madina Hazrat Imam Abdullah Yafai Yamni

Urdu Tarjuma:
Hazrat Molana Jafar Ali Nagenwi R.A


Intekhab-o-Tehseel
Molana Imdad Allah Anwar
Ustad Jamia Qasim Alulom,Multan
Sabiq Mueen Altehqeeq Hafti Jameel Ahmed Thanwi R.A Jamia Ashrafiya Lahore

Darul Moarif
Inayat Por, Tehseel Jila Por Peerwala, Multan

Kitab
Karamat-e-Auliya

No comments:

Post a Comment

Please Share this blog to everyone!
Hadees ka mafhom he k Achi baat ko dosro tak pohnchana bhi Sadqa e Jariya he....!