ALLAH K WALI

ALLAH K WALI
Google Search

Friday 23 September 2011

Lakrdiyan Sona Ban Gain


Do jawan mulk shaam main ibadat main mashghol rehte the husn-o-ibadat ki waja se eek ka naam (Printing Missing) or dusre ka naam malih pard gaya tha. Itefaqan wo kai roz tak bhoke rahe. In main se eek ne dosre se kaha chalo jangal ki taraf kisi ko deen ki talim karain shayad is ki waja se ALLAH TAALA humain kuch nafa pohncha de’ chunacha dono chale wo kehte hain jab hum jangal main dakhil hue to humare samne eek habshi lakrdiyon ka bojh sar par rakhe hue aya’ hum ne kaha a shakhs tera rub kon he? Ye sun kar us ne lakrdiyon ka bojh zameen par dal diya or is par beth kar kehne laga ye na kaho tera rab kon he balke ye kaho k tere dil main iman kis jaga par he? Hum apas main eek dosre ko dekhne lage. Phir kaha pocho pocho kiyun k mureed wo he jo sawal karma na chore. Jab is ne dekha k hum kuch jawab nahin dete to kehne laga “A khuda agar tu janta he k tere baaz bande jo kuch tujh se mangte hain tu inhain deta he mera bojh sona karde” to wo foran sone (Gold) ki shakhen ban gain or chamakne lagin. Phir kaha A ALLAH tu janta he K tere baaz bande gumnami ko pasand karte hain tu is ko phir lakrdi kar de chunacha usi waqt wo lakrdi ka bojh hogaya. Phir is bojh ko sar par rakh kar chala K humain is K piche jane ki jurrat na hui–Rehmat-ul-ALLAH Aleh.



Az
Qutub-e-Madina Hazrat Imam Abdullah Yafai Yamni

Urdu Tarjuma:
Hazrat Molana Jafar Ali Nagenwi R.A


Intekhab-o-Tehseel
Molana Imdad Allah Anwar
Ustad Jamia Qasim Alulom,Multan
Sabiq Mueen Altehqeeq Hafti Jameel Ahmed Thanwi R.A Jamia Ashrafiya Lahore

Darul Moarif
Inayat Por, Tehseel Jila Por Peerwala, Multan

Kitab
Karamat-e-Auliya

Page No
180

No comments:

Post a Comment

Please Share this blog to everyone!
Hadees ka mafhom he k Achi baat ko dosro tak pohnchana bhi Sadqa e Jariya he....!