Hazrat Zulnon Misri (Rehmat u
ALLAH Aleh) eek martaba kashti par sawar kahin ja rahe the. Kashti k
musafiron ko Hazrat se ta’aruf na tha. Is kashti min aik sodagar bhi tha.
Itefaqan is ka aik moti gum hogaya is ne ghalat fehmi se Hazrat Zulnon Misri (Rehmat u ALLAH Aleh) pe ilzam lagadiya k moti
unhon ne liya he. Hazrat ne farmaya k Hasha wukla moti main ne nahi liya. Wo
sodagar kehne laga k moti aap hi ne liya he or gustakhi se paish ane laga
Hazrat Zulnon Misri (Rehmat u ALLAH Aleh)
ne us waqt aasman ki taraf munh kar k arz kiya. Ilahi! Tu janta he k main is
ilzam se bari
hun. ye kehna hi tha k hazaron machliyan darya se apne apne munh main aik aik
moti le kar nikal ain. Aap ne in main se aik moti le kar is sodagar ko diya.
Kashti k logon ne Hazrat ki jab ye shaan dekhi to sab aap k qadmon par gir
parre or muafi chahne lage. “NOON” machli ko kehte hain. Aap ki isi karamat ki
wajha se aap ka naam Zulnon mashhor hogaya.
Mirat ul israr
286
Kitab
Qasasul Auliya
Allama Nazeer Muhammad Wahidi
No comments:
Post a Comment
Please Share this blog to everyone!
Hadees ka mafhom he k Achi baat ko dosro tak pohnchana bhi Sadqa e Jariya he....!