ALLAH K WALI

ALLAH K WALI
Google Search

Saturday 29 August 2015

Mohammed ur Rasool Allah (Sallaho Alehe Wassalam)



Sadiq or Ameen

Makkah main rehne wale do tariqo se apni muashi zaroriyat ko pora karte the. Aik tijarat or dosre maweshiyo khas tor par onton (Camel) ki parwarish k zarye.
Huzur (Aleh Assalato Wassalam) ne tijarat ko zariya muash banana pasand farmaya. Sodagar qais bin zaid apna saman tijarat Huzur (Aleh Assalato Wassalam) ke supurd kar deta tha ta’ke wo use farokht karne ke liye dosre sheher main le jain. Hisab kitab main kabhi koi ikhtilaf nahi hua. Aap (Sallaho Alehe Wassalam) ashiya-e-tijarat ki farokht ke liye jab bhi safar par rawana hote makkah ke dosre tajir ye khuwahish karte the ke Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) un ka saman-e-tijarat bhi le jain. Inhi tajiron main se aik khaton Hazrat Khatija (Radi ALLAHo Anho) ne Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) ko ye paigham bhijwaya ke agar wo chahe to un ke tijarti qafle ke hamrah safar par rawana hon. Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) ne is paishkash ko apne chacha ke mashware se qabool karliya. Hazrat Khatija (Radi ALLAHo Anho) ke shohar ka inteqal ho chukka tha. Un ki khandani sharafar, izzat o toqeer or aala kirdar ki bina par makkah ke bare bare raees or sardar un se shadi karne ke khuwahan the. Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) ki majmoa sifat zat ne Hazrat Khatija (Radi ALLAHo Anho) ko be had mutasir kiya. Unho ne apni saheli nafeesa bin manba ke zariye shadi ka paigham bheja. Nikah main bani hashim or rusaye makkah sharik hue. Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) ne 500 dirham bator haq meher Hazrat Khatija (Radi ALLAHo Anho) ke ada kiye. Ye riwayat bhi milti hain k haq meher ke tor par 20 ont (Camel) diye gaye.
San 205 Eswi main jabke Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) 35 saal k the makkah main do nagawar waqiyat paish aye. Pehla ye ke khana kaba main aag lag gai or dusra ye ke selab is ke kuch hisso ko baha le gaya. Jis ki bina par kana kaba ko khasa nuqsan pohncha. Qureesh ke 10 qabilon ne ye faisla kiya ke logo se chanda jama kiya jaye or awami chanda ki madad se khana kaba ki maramat ki jaye. Marammat ka kaam jis romi maamar ko sonpa gaya is ne mashwara diya ke Marammat k bajaye khana kaba mukamal tor par dha diya jaye or az sare no taameer kiya jaye. Qureesh k buzurgo ne salah mashwarah k baad khana kaba ko dhane ki manzori de di or romi maamar ne bila tawaquf apna kam shuru kar diya. taameer kaba main tamam qabail ne barh char kar hissa liya lekin jab hijr-e-aswad nasb karne ka marhalla aya to quresh k 10 qabilon k darmiyan shaded ikhtilaf hogaya. Kiyun k har qabila ki ye khuwahish thi k hijr-e-aswad ko khana kaba main lagae ka aizaz sirf use hasil hona chahiye. Is qadiye ka hal Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) ne ye nikala k aik chadar mangwa kar hijr-e-aswad ko is chadar par rakh diya or quresh k sakardah logon ne is chadar ko charon taraf se pakar kar uthaya or khana kaba ki diwar tak le gaye. Khud Huzur (Sallaho Alehe Wassalam) ne bhi is chadar ka aik kona apne hath main thama or quresh ke dosre logo ki madad se hijr-e-aswad ko khana kaba ki diwar tak pohncha kar nasab kardiya.



Taleef
Khuwaja Shamsuddin Azeemi

Al Kitab Publications
A.645 Block “H” North Nazimabad Karachi

Kitab
Mohammed ur Rasool ALLAH
(Sallaho Alehe Wassalam)

No comments:

Post a Comment

Please Share this blog to everyone!
Hadees ka mafhom he k Achi baat ko dosro tak pohnchana bhi Sadqa e Jariya he....!