ALLAH K WALI

ALLAH K WALI
Google Search

Tuesday 8 September 2015

Hazrat Abu Bakar Siddique (Radi Allaho Ta’ala Anho)



Khalifa e awwal janasheen beghambar ameer al momenin Hazrat Siddique akbar (Radi Allaho Ta’ala Anho) ka naam-e-naami “Abdullah” “Abu Bakar” aap ki kuniyat or “Siddique-o-ateeq” aap k laqab hain. Aap qureeshi hain or satwen (7) pusht main aap ka shijrah nasb Rasool Allah (Sallaho Alehe Wassalam) k khandani shijrah se miljata he. Aap aam alfeel k dhai baras baad makka mukarama main paida hue. Aap is qadar jama al kamalat or majma al fazail hain k Anmbia (Aleh Salam) k baad tamam agle pichle insano main sab se afzal-o-ala hain. Azad mardon main sab se pehle islam qabol kiya or safar-o-watan k tamam mushahid-o-islami jihado main mujahidana karnamo k sath shamil hue or sulah-o-jang k tamam faislon main Aap shenshah-e-Madina (Sallaho Alehe Wassalam) k wazeer-o-mushir ban k marahil nabuwat k har har mor par aap k rafeeq-o-janisar rahe. Do(2) baras teen(3) maah giyara(11) din masnad khilafat par ronaq afroz reh kar 22 jamadi ul akhra 13hijri mangal ki raat wafat pai. Hazrat Umar (Radi Allaho Anho) ne namaz-e-Janazah parhai or roza munawarah main Huzur Rehmat-e-Alam (Sallaho Alehe Wassalam) k pehlo-e-maqdas main dafan hue.
(Akmal-o-Tareekh Alkhulfa)

Taleef
Allama Molana Abdul Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)

Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor


Kitab
Karamat-e-Sahaba
(Alehim Alrizwan)

No comments:

Post a Comment

Please Share this blog to everyone!
Hadees ka mafhom he k Achi baat ko dosro tak pohnchana bhi Sadqa e Jariya he....!