ALLAH K WALI

ALLAH K WALI
Google Search

Wednesday 9 September 2015

Hazrat Umar Farooq (Radi Allaho Ta’ala Anho)



Khalifa-e-Roum janasheen peghambar Hazrat Umar Farooq-e-Azam (Radi Allaho Anho) ki kuniyat “Abu Hafs” or laqab “Farooq-e-Azam” he. Aap ashraf-e-qureesh main apni zati-o-khandani-o-wajahat k lehaz se bohot hi mumtaz hain. Athwen(8) pusht main aap ka khandani shijra Rasool ALLAH (Sallaho Alehe Wassalam) k shijra-e-nasb se milta he. Aap waqiya feel k terah(13) baras baad Makka Mukarama main paida hue or ailan-e-nabuwat k chhate(6) saal 27 baras ki umar main musharaf ba islam hue jab k aik riwayat main aap se pehle kul untalees(39) admi islam qabool kar chuke the. Aap k musalman hojane se musalmano ko be had khushi hui or un ko aik bohot bara sahara mil gaya yahan tak k Huzur Rehmat-e-Alam (Sallaho Alehe Wassalam) ne musalmano ki jamat k sath Khana Kaba ki masjid main ailaniya namaz ada farmai.
Aap tamam islami jangon main mujahidana shan k sath kufar se larte rahe or Paighambar-e-islam (Sallaho Alehe Wassalam) ki tamam islami tehrikat or sulah-o-jang waghera ki tamam mansoba bandiyon main Huzur Sultan-e-Madina (Sallaho Alehe Wassalam) k wazeer-o-musheer ki hesiyat se wafadar-o-rafeeq kaar rahe. Ameer ul Momenin Hazrat Abu Bakar Siddique (Radi Allaho Anho) ne apne baad aap ko khalifa muntakhib farmaya or das(10) baras chhe(6) maah char(4) din aap ne takht-e-khilafat par ronaq afrooz ho kar janasheen-e-Rasool (Sallaho Alehe Wassalam) ki sari zimme dariyon ko ba husn-o-jooh anjam diya. 26zil haj 23hijri char(4) shanba k din namaz-e-fajar main abu lolo firoz majosi kafir ne aap ko shakam main khanjar mara or aap ye zakham kha kar tisre din sharf-e-shahadat se sar faraz hogaye. Waqt-e-wafat aap ki umar sahreef 63baras thi. Hazrat Sohaib (Radi Allaho Anho) ne aap ki namaz-e-janazah parhai or roza Mubaraka k andar Hazrat Siddique Akbar (Radi Allaho Anho) k pehlo-e-anwar main madfoon hoye.
(tareekh alkhalfa wazalta alkhfa waghera)



Taleef
Allama Molana Abdul Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)

Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor

Kitab
Karamat-e-Sahaba
(Alehim Alrizwan)

No comments:

Post a Comment

Please Share this blog to everyone!
Hadees ka mafhom he k Achi baat ko dosro tak pohnchana bhi Sadqa e Jariya he....!